Wednesday 13 December 2017

MERE HUMDAM

Chalo tum chhod do mujhko hum wapis loat jate,

Hamein raahe'n mubarak ho tumhe hum manzil soa'np jate hai,

Magar phir aye mere humdam mujhe etna to samjha do,

Mere haatho ko fir thaama tha kyu etna to batla do,

Mere bite huye lamhe jo gujre hai Tumhare saath,

Tumne khaaq mei mila diye mere ab har dil-e-zazbaat,

Ab jo faisla hoga wo ab khudaya faisla hoga,

Ab mai na teri hongi aur na ab tu mera hoga,

Chalo tum chhod do mujhko hum wapis loat jate,

Hamein raahe'n mubarak ho tumhe hum manzil soa'np jate hai...





 

Monday 10 April 2017

EZHAR - E - ISHQ

MERE  KARWAA'N  MEI  TU  AGAR  SHAMIL  HO  TO  AISA  HO,
JAISE  CHAMKTE  HAI  TAARE  MERI  KISMAT  MEI  FIR  WAISA  HO,

TU  RUBAROO  HO  JAYE  GAR  MUJHSE  TO  ACHAA  HO,
JAISE  SUBHA  HOTI  HAI  MERI  ZINDAGI  MEI  FIR  WAISA  HO,

RAH  JAAUNGA  "SUGRAA"  TERI  ROOH  MEI  KAHI  NA  KAHI  MAI,
NIKALTA  HAI  CHAND  JAISE  MERI  ANKHO  KA  KHWAB  FIR  WAISA  HO,

GAR  WO  EZHAAR  KAR  DE  MERE  ES  EK  TARFA  ISHQ KA  MUJHSE,
JAISE  PHOOLO  KE  RANG  HOTE  HAI  MERE  ISHQ  KA RANG  FIR  WAISA  HO...




Wednesday 26 March 2014

Imtehaa'n-E-Sabr

Ye mere sabr ka Imtehaa'n hai to koi baat nahi,
Ye tere dil ka gubaar hai to koi baat nahi,

Yere mere Gunaah ki saza hai to jarur milegi mujhe,
Tere Haatho se qatl bhi ho jaau'n to koi baat nahi,

Tujhe har pal ki khusi dene ki kosish karunga jarur,
Chahe usme hazaro gam mile mujhe to koi baat nahi,

Teri Kismat ka sahara mil jaaye to zindagi gujar jaye,
Fir Chahe meri kismat bhi mit jaaye to koi baat nahi,

Mai Iltiza'a karta hu ke tu mere saath to rahe umr bhar,
Uske baad chahe do gaz zamee'n bhi mile to koi baat nahi...






 

Tuesday 4 February 2014

MERA AASHIYAA'N

Meri aankho mei musalsal unka khwab tha kabhi
Wo hamse milenge aisa hanshi ehsaas tha kabhi,

Wo dil mei khyalo mei wo meri har bat mei rahte the
Wo meri har khusi mere har gham ke jazbat mei rahte the,

Mere chahre ki khilkhilati hanshi unko soch kar chali aati thi
Din bhi gujar jata tha mera raat bhi gujar kar chali jati thi,

Aur kya bataye unki mohabbat ke afsane kuchh aise the
Ek jism do jaan ham unko samjhkar kuchh rahte aise the

Ab kisko batanye wo har manzil ka dil-e-maqaa'n tha kabhi
Wo mujhko mile the mujhe apne muqaddar pe gumaa'n tha kabhi,

Sab chhoot gaya sab loot gaya wo khwab mera ab toot gaya
Ab jaayen kaha rah jaye kaha es jahaa'n mei mera bhi aashiyaa'n tha kabhi...



Wednesday 29 January 2014

TAMANNA-E-ISHQ

Ab Tamanna-e-Ishq ka koi irada nahi 
mera
Mai to ab bas chand roz zindagi jine ka shouq rakhta hu,

Chal nahi sakta ab mai dobara dard-e-mohabbat
ki rah par
Ke ab mai har sah ki mohabbat se khouf rakhta hu,

Kya paya tha maine ab kya khone ko
raha hai
Ab to bas mai es zamane ko jeet jane ka hunar rakhta hu,

Milegi manzil meri ek din en anjani
raho par
Isi soch mei mai ab apne dil-e-maqaan mei sabar rakhta hu...



BADNAAM SAKS-E-MOHABBAT

Mai mashoor ni hu mera naam badnami
se har kisi ki juban pe hai,

Ye galat soch hai teri mai to khud
jee raha hu jo zindagi teri pehchan se hai,

Ye sach hai teri mohabbat paak hai saaf hai 
har sacchaai se rubaru behisaab hai,

Mai kaise kah du ki tu meri mohabbat hai
meri mohabbat bhi to suru tere naam se hai,

Na jane tu mujhmei kya dhuntati hai
na jane tu kyu meri tasvir ko chumti hai,

Mai kaise tujhe yakin dilaaon ki
meri muskrahat bhi to tere ehsaan se hai...